Android Phone Ke Battery Backup ko Kaise Badhaye [Hindi]
Aajkal smartphone ke jamane me Battery draining ka alag hi problem hai . Kuch phones me toh 6-7 ghante ka bhi Battery backup
nahi milta . Aapko phone ko switch off se bachane ke liye na jaane kya
kya tricks apnane pdte hai jaise powerbank , baar baar phone ko charge
karna etc. inn sbse agar aap pareshan hai toh iss post ko jarur padhe .
Kyuki iss post me mai apko btaunga ki aap apne phone ke battery ko jyada
der tak kaise use kar skte hai .

Aapko kuch steps follow karne padenge :
#1- Display Ki Brightness Ko Kam Kare
Koi
bhi android phone ya smartphone sbse jyada display me Battery ko
consume karta hai . Agar aapke phone ki brightness 40% se jyada hai toh
usko kam kijiye aur auto mode me kar dijiye . Iss aapke Battery ki power
bachegi aur battery yadjad er tak chaleg
#2-Wifi Ka Use kare:-
Apne phone me data se net use karne ke bajay agar aap wifi ka istemal karte hai toh isse aapki battery bachegi . Kyuki wifi ka network aur cellular network ki frequency me bahut difference hota hai . Wifi use karne par Battery bahut kam amount me consume hoti hai .Jabki Cellular network mjyae da battery consume hoti hai .
#3-Off to Auto-Sync :
Aapke
phone me backup ke liye auto sync agar onha i toh off kijiye kyuki jb
aap phone nahi bhi use artek hai toh yah synchronization chalta hi rhta
hai .Aur aapki battery bhi consume hoti rhti hai . isliye isko off
rakhne se aapki battery 30% jyada der tak chlti hai .
#4-Do not use Live Wallpapers:-
Jaisa ki title me likha hai Do not use live wallpaper matlab aapko koi still image ko wallpaper set karna chahiye . Live Wallpaper use karne par aapki battery toh consume hoti hi hai aur sath sath aapka RAM bhi consume hota hai . Mujhe lgta hai live wallpaper lgana koi tashanbaji nahi hai#5-Background Data ko restrict kar de:-
Kuch
apps hote hai jo close karne ke baad bhi Data ko use karte hai . Aur
background me run krte hai . Isse aapke battery par bhi asar padta hai .
Isliye agar aap background data ko restrict kar dete hai toh aapko aam
ke aam aur guthliyo ke bhi daam mil jayenge matlab ki aapka Data bhi
save hoga aur battery bhi .
Conclusion
Dosto
agar aap upar btaye gaye chijo ka apne phone me implement karte hai toh
mai gurantee ke sath kah skta hu ki aapke battery ki life 30% badh
jayegi .Aur agar yah post aapko achha lga toh please apne friends ke
sath bhi share kare…
Universal Power System Pvt. Ltd. as prime industries of online ups system distributors and online forklift battery in gurgaon, India
ReplyDelete